Chingariyon ko sona banane se kya mila,
Tum hi kaho ki shahar jalane se kya mila !
E mauze sitamgar hai bhatakna tera naseeb,
Kashti bhanwar me dil ki dubaane se kya mila !
Doobi thi khwab e hasti pani ki kami me,
Ab chasme nam ki jheel bahane se kya mila !
Yun to karam tumhare pahle hi kam na the,
Barbadiyon ka jasn manane se kya mila !
Aandhi tere gurur ka sar ho gaya buland,
Warna tujhe charag bujhane se kya mila !
Waise hi iss fiza me AB jeena muhal hai,
Aawaj de kar hamko bulane se kya mila !
Jab zindagani chaar diin ka ittafak hai,
Barson haseen khwab deekhane se kya mila